Ho gayi hai peer parvat si, pighalni chaahiye,
Is himalaya
Aaj yeh deewaar pardon ki tarah hilne lagi,
shart lekin thi ki yeh buniyaad hilni chahiye.
Har gali mein, har shahar mein, har nagar, har gaon mein,
haath lehraate hue har laash chalni chahiye.
Sirf hungaama khada karna mera maqsad nahin,
saari koshish hai ki yeh soorat badalni chahiye.
Mere seene mein nahin, to tere seene mein sahi
ho kahin bhi aag, lekin aag jalni chahiye.
No comments:
Post a Comment