मंगल भवन अमंगल हारी
द्रवहु सुदसरथ अचर बिहारी
Doosra Banwaas
Ram banwaas se jab laut ke ghar mein aaye,
Yaad jungle bahut aaya jo nagar mein aaye,
Raqsse deewangee aangan mein jo dekha hoga,
6 december ko Shri Ram ne socha hoga,
Itne deewane kahan se mere ghar mein aaye?
Paun Sarjoo mein aabhi Ram ne dhoye bhee na thhe
Ke nazar aaye wahan khoon ke gehre dhabbe,
Paun dhoye bina Sarjoo ke kinare se uthe,
Ram yeh kehte hue aapne dwaare se uthe,
Rajdhani kee fiza aayee nahin raas mujhe,
6 December ko mila doosra banwaas mujhe.
-copied

Subscribe to:
Posts (Atom)