krishna ki chetavani- Copied

Friday, April 10, 2009


varsho tak van me ghom ghoom
badha vighno ko chum chum
sah dhoop gham pani patthar
pandav aaye kuchh or nikhar
soubhagya na sab din sota he
dekhe aage kya hota he
maitri ki raah dikhane ko
sab ko sumarg pe laane ko
duryodhan ko samjhane ko
bheeshan vidhwans bachane ko
bhagwan hastinapur aaye
panddav ka sandesha laaye
do nyay agar to adha do
par isme bhi yadi badha ho
to dedo kewal paach gram
rakho apni dharti tamam
hum vahi khushi se khayenge
parijan pe asi na uthayenge (asi = hathiyaar)
duryodhan woh bhi de na saka
ashish samaj ki le na saka
ulte hari ko bandhne chala
jo tha asadhya sadhne chala
jab naash manuj par chhata he
pehle vivek mar jata he
hari ne bheeshan hunkar kiya
apna swaroop vistar kiya
dagmag dagmag diggaj dole
bhagwan kupit hokar bole
janjeer badha ab saadh mujhe
haa haa duryodhan baandh mujhe
yeh dekh gagan mujhme lay hai
yeh dekh pawan mujhme lay hai
mujhme wilin jhankaar sakal
mujhme lay hai sansaar sakal
amaratva phhoolta hai muhme
sanhaar jhoolta hai mujhme
udayachal mere dipt bhaal
bhu-mandal vaksh-sthal vishaal
bhuj paridhi bandh ko ghere hain
mainaak meru pag mere hain
dipte jo grah nakshatra nikar
sab hain mere mukh ke andar
drig ho to drishya akaand dekh
mujhme saara brahmaand dekh
char-achar jeev, jag kshar akshar
nashwar manushya, surjati amar
sat koti surya, sat koti chandra
sat koti sarit sar sindhu mandra
sat koti brahma vishnu mahesh
sat koti jalpati jishnu dhanesh
sat koti rudra, sat koti kaal
sat koti dand dhar lokpaal
janjeer badha kar saadh inhe
haan haan duryodhan baandh inhe
bhutal atal paatal dekh
gat aur anagat kaal dekh
yeh dekh jagat ka aadi srijan
yeh dekh mahabhaarat ka run
mritako se pati hui bhu hai
pahchaan kahan isme tu hai?
ambar ka kuntal jaal dekh
pad ke niche paatal dekh
mutthi mein tino kaal dekh
mera swaroop vikraal dekh
sab janm mujhi se paate hain
phir laut mujhi mein aate hain
jihwa se kadhti jwaal saghan
saanso se paata janm pawan
par jati meri drishti jidhar
hansne lagti hai srishti udhar
main jabhi moondta hoon lochan
chha jata charo aur maran
baandhne mujhe to aaya hai
janjeer badi kya laaya hai?
yadi mujhe baandhna chahe mann
pahle tu baandh anant gagan
sune ko saadh na sakta hai
wo mujhe baandh kab sakta hai?
hit wachan nahi tune maana
maitri ka moolya na pahchana
to le ab main bhi jata hoon
antim sankalp sunaata hoon
yaachna nahi ab rann hoga
jivan jai ya ki maran hoga
takrayenge nakshatra nikar
barsegi bhoo par wahni prakhar
phan sheshnaag ka dolega
wikraal kaal munh kholega
duryodhan rann aisa hoga
phir kabhi nahi jaisa hoga
bhai par bhai tootenge
vish-baan boond-se chutenge
saubhagya manuj ke phootenge
vaayas shrigaal sukh lootenge
aakhir tu bhushayi hoga
himsa ka pardayi hoga
thi sabha sann, sab log dare
chup the ya the behosh pade
kewal do nar na aghate the
dhrishtrashtra-vidur sukh paate the
kar jod khare pramudit nirbhay
dono pukaarte the jai-jai..

20 comments:

Chitra said...

Thanks, I was looking for it after watching movie- Gulal

rohit said...

thank you for posting this poem...

Pushkaraj said...

Dhanyvad, I had no idea that this is a poem in itself. Thanks for posting it.

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Omkar Rege said...

thanks..was looking for it..

Unknown said...

Thanks a lot for posting it..it reminded me of my school days..i recited this poem in a competition..

Unknown said...

dhanyawad mitra.ati uttam.

Roopak K Prajapat said...

Dhanyawad. Was really looking for it. Appreciate it.

Roopak
NationalView.in

Unknown said...

shukriya bhaijaan, school mein padhi thi ye par poori nahi padhi thi.. aaj tak ki sabse sahi cheez padhi hui ye hi hai...

sanjeevsanjan said...

Praveen - Thanks a Million for posting this great poem!!! I was looking for it for such a long time. I really miss my school days when we had the privilege of reading such beautiful poems. Thanks again. You made my Day!!!

jagjeet Saluja said...

Thanks For This poem.I was searching for a long time.

Pls clear a doubt
That acording to me the first line apperas as "Barso Tak Ban me Ghoom Ghaam".This line I had Not Found in This Poem

My Id is mishrakripanand@yahoo.in

Rajesh kumar said...

thanks a lot ....
its gra8 pome...

Rajesh kumar said...

thanks a lot ....
its gra8 pome...

Unknown said...

i owe u .... i was looking 4 it from a long time... jai sri krishna

My Little World said...

nice yaar, thanks.....maja aagaya...is poem ko main pichle kai saalon se khoj raha tha, aakhir ye mil hi gayi....thanks again...."jab pela jata iksh dand bahti ras ki dhara he, jab phool piroye jaate hein...hum unko gale lagate hein...varsho tak wan me ghum ghum....vighn badhaaon se chum chum .....pandav aaye kuch aur nikhar....sobhagya na sab din sota he dekho aage kya hota he"...

Rajendra Kumar said...

I was searching this poem since many years..it was in my 5th class hindi text book..thanks for posting it..

sid said...

i m not sure about the words that you used........original is a little different........anyways thanks for sharing!!!

pradhyuaman said...

Thnx a lot sir...
for ds jwel..
after watching gulaal i waz eagetly looking for ds..
tnx..

Unknown said...

A lot of thanks for posting it, just looking for it.

Unknown said...

A lot of thanks for posting it, just looking for it.